Footmarks of a traveller

Tuesday, July 11, 2006

Kal chaudhvin ki raat thi

A friend of mine sang this ghazal on stage while we were in college…This ghazal was written by Ibn-e-Insha

Kal chaudhvin ki raat thi
Shab bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha ye chand hai
Kuch ne kaha chehra tera

Hum bhi wahin maujood the
Hum se bhi sab poochha kiye
Hum hans diye, hum chup rahe
Manzoor tha parda tera

Is shehar mein kis se milen
Hum se to chooti mehfilen
Har shaks tera naam le
Har shaks diwana tera

Kal chaudhvin ki raat thi..

Kooche ko tere chod kar
Jogi hi ban jaayein magar
Jungle teri , parbat tere
Patti teri, sehra tera

Be-dard sunni ho to chal
Kehta hai kya achchi ghazal
Aashiq tera, rusva tera, shayar tera, Insha tera

Listen to it in Jagjit Singh’s voice on <http://www.musicindiaonline.com/l/ut/s/9/100/>

2 Comments:

  • Jogi hi ban gaye ho tum, chaudhvin ki raat mein,
    Chaand bhi nazar aata nahin, ab tumhari aankh mein,
    Be-dard sunni hai to chal, kehti hai kya achchi gazal,
    Shayad khuch dawa ho jaye, tote dil ki jaan mein.

    Thanks for posting...

    From :
    The Stage Singer Friend.

    By Anonymous Anonymous, at 12:13 PM, July 18, 2006  

  • wah wah wah! kya shayari hai! Lagta hai dard had se aage badh gaya hai :-)

    By Blogger Shoonya, at 12:45 PM, July 18, 2006  

Post a Comment

<< Home